Aaarzoo

Submitted by pravachak on

Wo kya Zamana Hoga Jab Maa Ke Laal hanste Hanste phasi par chadhjate the
Aaj to Maa ka aanchal bechne se bhee hum nahee katratein hain

Hey Prabhu meri smriti ko itna bhee sankeen na banao
Ki unko bhool kar main apni zindagi main kho jaoun

Kaanp jaati hai aatman jab unki kurbaani yaad aati hai
Kash ki ye maans ka tukda bhee Aihle Watan ke Kaam Aaye

Kya jiyay jo jiyay apni khatir
Hai baat kuch to jab vatan par hum mit jayen

Din beet gaye jab bairon se sangharsh tha karna
Ab aaya hai yug ki ghar ke bheedi se hai ladna

Kisko bura kahun, kisko maaru goli
Hain to meri Maa ke he balak sabhee

Dunia chalti thee mujse pehle bhee or baad me bhee chalegi
Is raah par manzil to shayad mujhay kabhee na milegi

Na kuch kar sakoon aur to bhee aai malik itna to karna
Poch sakuun nirbal ke aansu itna to saksham karna

Dil main jo dard kabhee kisee our se umad aata hai
Us dard ki tees ko mere undar zinda rakhna

Aai Maa na koi or khwahish hai na aarzoo
Jaun jab yahan se, jaun bankar tera sapoot

Wo jo Tiranga hai jiske tale main jiya
Uske chaya ke yogya to ho meri shav yaatra